Wednesday, 8 January 2025

Aye Saba Sarkar ki baatein suna Sayyid-e-Abrar ki baatein suna

Aye Saba Sarkar ki baatein suna
Sayyid-e-Abrar ki baatein suna

Main duroodon ke hoon naghme chhedta
Tu mujhe Sarkar ki baatein suna

Jis se hasil ho sukoon e dil mujhe
Haan zara us Yaar ki baatein suna

Hum na jaane kab Madine jaayenge
Tu mere man thaar ki baatein suna

Main parhoon wajdaan mein Salle ala
Pyaar se tu pyar ki baatein suna

Shayad ajaye kabhi wo khawab mein
Wasl ki deedar ki baatein Sunna

Jiska sadqa mangte hai do jahan
Uss saqi darbar ki baatein Sunna

Hai Niazi Dum me jabtak dum tere 
Ahmed e muqtar ki baatein sunna

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...