Monday, 20 January 2025

Chain tumse qaraar tumse hai ๐Ÿ’›Zindagi ki bahar tumse hai ❣️

Chain tumse qaraar tumse hai ๐Ÿ’›
Zindagi ki bahar tumse hai ❣️

Kya karu leke saari duniya ko ๐Ÿ’š
Mere dil ka qaraar tumse hai ❣️

Yuh toh duniya mein hai hazaron haseen ๐Ÿ’™
Kya karu mujhko pyaar tumse hai ❣️

Ya habibi Muhammad-e-Arabi ๐Ÿ‘‘
Mere bagh-o-bahar tumse hai ❣️

Bewaseelon ke tum waseela ho ๐Ÿ’™
Fazal-e-parwar digaar tumse hai ❣️

Laaj rakhna ke main tumhara hu ๐Ÿ’š
Meri jeet aur haar tumse hai ❣️

Ya Muhammad ummed war-e-karam ๐Ÿ’›
Hasrat-e-khaak saar tumse hai ❣️

Chain tumse qaraar tumse hai ๐Ÿ’
Zindagi ki bahar tumse hai ❣️

Sallallaahu alaihi wa sallam ๐ŸŒ 

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...