Wednesday, 8 January 2025

Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna

Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna !
Mera zauq un ki chaahat, mera shauq un pe marna !

Wo kisi ki jheel aankhen wo meri junoon-mizaji,
Kabhi doobna ubhar kar kabhi doob kar ubharna !

Tere manchalon ka jag mein ye ajab chalan raha hai,
Na kisi ki baat sunna, na kisi se baat karna !

Shab-e-gham na poochh kaise tere mubtala pe guzari,
Kabhi aah bhar ke girna, kabhi gir ke aah bharna !

Wo teri gali ke tewar, wo nazar nazar pe pahre,
Wo mera kisi bahane tujhe dekhte guzarna !

Kahaan mere dil ki hasrat, kahan meri na-rasai,
kahaan tere gesuon ka tere dosh par bikharna !

Chale lakh chaal duniya ho zamana lakh dushman,
Jo teri panaah mein ho use kya kisi se darna !

Wo karenge na-khudai to lagegi paar kashti,
Hai 'naseer' warna mushkil tera paar yun utarna !

~ Peer Naseeruddin 'Naseer' ra

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...