Salaam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
Main Sirf Dekhlo Ek Baar Subh e Tayaba Ko
Bala Se Phir Meri Dunya Me Shaam Ho Jaye
Salaam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
Tajaliyaat Se Bhar Lo Me Apna Kas E dil o Jaan
Kabhi Jo Un Ki Gali Main Qayam Ho Jaye
Huzoor Aap Jo Sunle Tu Baat Ban Jaye
Huzoor Aap Jo Kahdeen Tu Kaam Ho Jaye
Salaam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
Huzooor Aap Jo Chahen Tu Kuch Nahi Mushkil
Simat Ke Faasila Ye Chand-gaam Ho Jaye
Maza Tu Jab He Farishte Ye Qabar Main Kehde
Sabheeh! Midhat e Khair Ul Anaam Ho Jaye
Salaam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
Naseeb Waalon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye
Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye.
Main Shad Shad Maroon Ga, Agar Dam E Akhir
Naseeb Jalwa E Khairul Anam Ho Jaye.
Salaam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
Fuzool Goi Say Bach Jaye Yeh Zaban Meri
Mera Kalam Durood-O-Salaam Ho Jaye.
Pia Raza Ne Pia Jo Murshid Nay,
Ataa Mujhe Shaha Aisa Jaam Ho Jaye.
Salaam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
Shaha Ubaid-E-Raza Dar Badar Phiray Kab Tak
Huzoor Is Ka Madinah Maqam Ho Jaye.
Ubaid Mar Kay Madinah Mein Paa Chuka Hai Baqi
Khabar Watan Mein Kabhi To Yeh Aam Ho Jaye.
No comments:
Post a Comment