Har subah-o-shaam lakhon durood aur lakhon salaam,
Padte hain mil kar saare ghulaam,
Lakhon durood aur lakhon salaam.
Mere Nabi ﷺ Hain Aali Maqaam
Saare malaaik unke ghulaam,
Unka hai jaari jahaan mein nizaam,
Lakhon durood aur lakhon salaam.
Kitne Farishte Bahre Salaam
Aate hain dar par har subah-o-shaam,
Ye hai Nabi ﷺ ka ooncha maqaam,
Lakhon durood aur lakhon salaam.
Mahshar Ka Din Hai Mushkil Mein Jaan
Sookha gala hai, sookhi zubaan,
Hum ko ata ho Kausar ka jaam,
Lakhon durood aur lakhon salaam.
Kitne Qaadiri Tujh Se Ghulaam
Poori lagan se, ba-ehteraam,
Padte hain dil se karke qiyaam,
Lakhon durood aur lakhon salaam.
No comments:
Post a Comment