Sunday 3 March 2019

Chor fikr duniya ki chal Madine chalte hai Naat lyrics

Chor fikr duniya ki chal Madine chalte hai

Mustafa ghulamo ki kismate Badal te hai

Rehmato Ke Badal Ke Saaye Saath Chalte Hain
Mustafa Ke Deewane, Ghar Se Jab Nikalte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Humko Roz Milta Hai Sadqa Pyare Aaqa Ka
Unke Dar Ke Tukdo Par Hum Jaise Khush Naseeb Palte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Aamina Ke Pyare Ka, Sabz Gumbad Waale Ka
Jashn Hum Manate Jalne Waale Jalte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Sirf Saari Duniya Me, Wo Taiba Ki Galiya(n) Hain
Jis Jagah Pe Hum Jaise, Khote Sikke Chalte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Sach Hain Gair Ka Ehsaan, Wo Kabhi Nahi Lete
Aay Aleem Aaqa Ke Jo Tukdo Pe Palte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Chain Tumse Karaar Tum Se Hai lyrics


Chain Tumse Karaar Tum Se Hai
Zindagi Ki Bahaar Tum Se Hai


Be Wasilo Ke Tum Wasila Ho
Fazle Parwardigaar Tum Se Hai


Kya Karu Le Ke Saari Duniya Ko
Mere Dil Ka Karaar Tum Se Hai


Laaj Rakhna Ke Main Tumhara Hu
Meri Jeet Aur Haar Tum Se Hai


Yu To Duniya Mein Hai Hazaaro Haseen
Kya Karu Mujh Ko Pyaar Tum Se Hai


Ya Muhammad  Ummed Waar e Karam
Hasrat e Khaak Saar Tum Se Hai

Wa Ajmalu Minka Lam Tarukhattu Wa Ayin

Wa Ajmalu Minka Lam Tarukhattu Wa Ayin
Wa Atyabu Minka Lam Talidin Nisaau
Quliqta Mubarra-am Min Kulli Aybin
Ka Annaka Khad Quliqta Kamaa Tashaau.

Qamarun Qamarun Qamarun
Sidnan Nabi Qamarun
Wa Jameel Wa Jameel Wa Jameel
Sidnan Nabi Wa Jameel.

Wa Kafful Mustafa Kalwardi Naadi - Allah Allah
Wa Itruha Yabqa Izaa Massat Ayaadi - Allah Allah
Wa Amma Nawaluhaa Kullal Ibaadi. - (x3)
Habeebullahi Ya Khairul Bara Yaa

Qamarun Qamarun Qamarun
Sidnan Nabi Qamarun
Wa Jameel Wa Jameel Wa Jameel
Sidnan Nabi Wa Jameel.

Walaa Zillullahu Bal Kaana Noora - Allah Allah
Tanala - Shamsa Minhu Wal Budoora - Allah Allah
Walam Yakunil Huda Laulaa Zuhoora - (x3)
Wa Kullul Kauni Anaaru Bi Noori Taha

Qamarun Qamarun Qamarun
Sidnan Nabi Qamarun
Wa Jameel Wa Jameel Wa Jameel
Sidnan Nabi Wa Jameel.

Na Karo Juda Khudara Mujhe Apne Aastan Se

Na Karo Juda Khudara Mujhe Apne Aastan Se
Na Milega Phir Sahara Jo Utha Diya Yahan Se.

Yehi Meri Bandagi Hai Yehi Meri Sajda Rezi
Ke Zara Lipat Ke Ro Loon Tere Sange Aastan Se.

Tu Hazaar Baar Thukra Mera Sar Yahin Jhukega
Mere Dil Me Hai Muhabbat Tere Sange Aastan Se.

Mujhe Khaak Me Milakar Meri Khaak Bhi Udaa De
Tere Naam Par Mita Hoon Mujhe Kya Gharaz Nishan Se

Na Ho Paas Unka Parda Na Ye Parda Daariyan Hon
Meri Dukh Bhari Kahani Jo Sune Meri Zubaan Se.

Iss Khaak Aastan Me Ek Din Fana Bhi Hoga
Ke Bana Hua Hai Bedam Isi Khaake Aastan Se.

Kauno Makaan Ki Itni Hi Kul Kayenath Hai

Kauno Makaan Ki Itni Hi Kul Kayenath Hai
Noore Nabi Na Hoto Na Din Hai Na Raat Hai.

Jalwa Numa Ba Shaane Bashar Aine Zaat Hai
Khud Kayenath Saaz Hai Khud Kayenath Hai

Ek Sunnate Rasool Bhi Ab Tak Na Mar Saki
Kaisi Wafaat Ye To Musalsal Hayaath Hai.

Do Chaar Maujze Ho To Maane Bashar Koi
Poori Hayaath Silsilaye Maujzaat Hai.

Mumkin Nahi Kitabon Se Irfaane Mustafa
Faizan Aur Baat Hai Ilm Aur Baat Hai.

Misle Bashar Ko Dekh Ke Samjha Na Jasaka
Wo Kya Samajhme Aaye Jo Na Deeda Zaat Hai.

Kis Par Khuli Haqeeqat -E- Noore Muhammadi
Jitni Nazar Hai Jiski Bhi Utni Hi Baat Hai.

Din Raat Mil Rahi Hain Do Aalam Ko Nematein
Allah Deraha Hai Muhammad Ka Haath Hai.

Khaliq Bhi Unke Saath Hai Khalqat Bhi Unke Saath
Unke Waseele Se Hi Har Ek Ki Najaat Hai.

Sabit Hua "Ana Basharum Mislukum" Se Shouq
Parde Se Bahar Aake Bhi Parde Me Zaat Hai.

Nabi Ki Marifath Beshak Dare Haidar Se

Nabi Ki Marifath Beshak Dare Haidar Se Milti Hai
Ye Daulat Jiske Ghar Ki Hai Usi Ke Ghar Se Milti Hai.

Muhammad Ki Muhabbat Aise Waise Ghar Se Milti Hai
Ye Daulat Bhi Kahin Kya Be Talab Be Tar Se Milti Hai.

Naseeb -E- Ahle Nisbath Se Nabi Ke Ishq Ki Manzil
Magar Zaahir Ko Ye Nisbath Bade Chakkar Se Milti Hai.

Farishton Aao Poocho Mujhse Mai Peshi Me Rehta Hoon
Hai Malik Ghar Ka Kaisa Ye Khabar Naukar Se Milti Hai.

Padhane Aaye Ho Jibreel Iqra Ka Sabaq Kisko
Farishton Ko Bhi Khud Taleem Jiske Ghar Se Milti Hai.

Likhi Hai Aaina "Fee Ahsani Taqveem" Chehre Par
Mere Aaqa Ki Surat Saaf Surat Gar Se Nikalti Hai.

Azal Se Aana Jaana Hai Mera Sarkar Ke Ghar Me
Mere Dil Ki Gali Sarkar Hi Ke Ghar Se Milti Hai.

"Bi Iznillah" "Bi Izni" Kehne Waale Bhi Samajhte Hain
Hayaate Jaavedani Aapki Thokar Se Milti Hai.

Ho Farzaq Ya Qameeri Hassan Hon Ya Aouj Yaqoobi
Ijazat Naat Ki Sab Ko Nabi Ke Ghar Se Milti Hai.

Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro

Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro
Sab Eidein Manao Huzoor Aa Gaye Hain

Uttho Be Sahaaro Chalo Gham Ke Maaro
Khabar Ye Sunao Huzoor Aagaye Hain
Huzoor Agaye Hain Huzoor Aa Gaye Hain

Anokha Niraala Woh Zeeshaan Aayaa
Woh Saare Rasoolon Ka Sultaan Aayaa
Are Kaj Kulaho Are Baadshaho
Nigahen Jhukaao Huzoor Aa Gaye Hain

Hua Char Soo Rehmaton Ka Basera
Ujaala Ujaala Sawera Sawera
Haleema Ko Pohnchi Khabar Aamina Ki
Mere Ghar Main Aao Huzoor Aa Gaye Hain

Hawaaon Mein Jazbaat Hain Marhaba Ke
Fazaaon Mein Naghmaat Salle Ala Ke
Duroodon Ke Gajre Salaamon Ke Tohfe
Ghulaamo Sajaao Huzoor Aa Gaye Hain

Samaa Hai Sanaa E Habeebe Khuda Ka
Ye Meelad Hai Sarware Ambiya Ka
Nabi Ke Gadaao Sab Ek Doosre Ko
Khabar Ye Sunaao Huzoor Aa Gaye Hain


Kaha Mai Zahoori Kaha Unki Baatein
Karam Hi Karam Hain Ye Din Aur Raatein
Jahaan Par Bhi Jaao Dilon Ko Jagaao
Yahi Kehte Jaao Huzoor Aa Gaye Hain

Meem -E- Madina Marehra Ki Qismath Hai Naat lyrics

Meem -E- Madina Marehra Ki Qismath Hai
Iss Gumbad Ko Uss Gumbad Se Nisbath Hai.

Gardish -E- Dauran Hat Jaa Mere Raste Se
Mere Sar Par Daste Shahe Barkat Hai

Yaan Se Jo Khaali Lauta Khaali Hi Raha
Haan Haan Aisa Shaks Bada Kam Qismat Hai.

Khaali Jholi Lekar Mangta Aaya Hai
Hazrath -E- Qasim Ki Janib Se Dawat Hai.

Dekho Ye Kaisa Noorani Chehra Hai
Murshid Ki Ziyarath Bhi Ek Ibadath Hai.

Nazmi Tum Bhi Paaun Pakadlo Murshid Ke
In Qadmon Ke Neeche Bhi To Jannat Hai.

Hota agar zameen par saya Rasool ka,

Hota agar zameen par saya Rasool ka,
Fir paao ummati kaha rakhta Rasool ka...

Padte hai yu to gair bhi kalma Rasool ka,
Jannat use milegi jo hoga Rasool ka...

Hota agar zameen par........

Karte hai aheteram janaza ka is liye,
Vo ja raha hai dekhle chehra Rasool ka...

Hota agar zameen par........

Duniya ko dekhna bhi gavara nahi kiya,
Jab tak ali ne dekha na chehra Rasool ka...

Hota agar zameen par........

Shere khuda na banta to banta bhi aur kya,
Bachpan hi se jo paala hua tha Rasool ka...

Hota agar zameen par........

Naara raza ka lagta hai duniya me is liye,
_*Ahmad raza*_ ke lab pe tha naara Rasool ka.

Tu Kuja Man Kuja Tu Man Kuja

Tu Kuja Man Kuja Tu Man Kuja

Tu Amir-e-haram Mai Faqeer-e-ajam
Tu Amir-e-haram Mai Faqeer-e-ajam

Tere Gun Aur Yeh Lab Mai Talab Hi Talab

Tu Ata Hi Ata Mai Khata Hi Khata
Tu Ata Hi Ata Mai Khata Hi Khata
Tu Kuja Man Tu Kuja Man Kuja
Tu Kuja Man Tu Kuja Man Kuja

Tu Hai Ehraam-e-anwaar Bandhay Huye
Mai Daroodon Ki Dastaar Bandhay Huye
Tu Hai Ehraam-e-anwaar Bandhay Huye
Mai Daroodon Ki Dastaar Bandhay Huye

Kaba-e-ishq Tu Mai Tere Chaar Su
Kaba-e-ishq Tu Mai Tere Chaar Su
Tu Asar Mai Dua Tu Kuja Man Kuja
Tu Asar Mai Dua Tu Kuja Man Kuja

Mera Har Saans To Khoon Nichoray Mera
Mera Has Saans To Khoon Nochoray Mera
Teri Rehmat Mager Dil Na Toray Mera
Teri Rehmat Mager Dil Na Toray Mera

Qasa-e-zaat Hu Teri Khairat Hu
Qasa-e-zaat Hu Teri Khairat Hu
Tu Sakhee Mai Gada Tu Kuja Man Kuja
Tu Sakhee Mai Gada Tu Kuja Man Kuja

Tu Haqeeqat Hai Mai Sirf Ehsaas Hu
Tu Haqeeqat Hai Mai Sirf Ehsaas Hu
Tu Samander Mai Bhatkee Hui Pyas Hu
Tu Samander Mai Bhatkee Hui Pyas Hu

Mera Gher Khak Per Aur Teri Reh Guzer
Mera Gher Khak Per Aur Teri Reh Guzer
Sidratul Muntaha Tu Kuja Man Kuja
Sidratul Muntaha Tu Kuja Man Kuja

Dagmagao Jo Halaat Ke Samnay
Dagmagao Jo Halaat Ke Samnay
Aye Tera Tasavur Mujhay Thaamnay
Aye Tera Tasavur Mujahy Thaamnay

Meri Khush Qismati Mai Tera Ummati
Meri Khush Qismati Mai Tera Ummati
Tu Jaza Mai Raza Tu Kuja Man Kuja
Tu Jaza Mai Raza Tu Kuja Man Kuja

Duria Samnay Se Jo Hatnay Lagee
Duria Samnay Se Jo Hatnay Lagee
Jalio Se Nigahe Lipatnay Lagee
Jalio Se Nigahe Lipatnay Lagee

Ansio Ki Zuban Ho Meri Tarjuma
Ansio Ki Zuban Ho Meri Tarjuma
Dil Se Niklay Sada Tu Kuja Man Kuja
Dil Se Niklay Sada Tu Kuja Man Kuja

Tu Ameer-e-haram Mai Faqeer-e-ajam
Tere Gun Aur Yeh Lab Mai Talab Hi Talab

Tu Ata Hi Ata Mai Khata
Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja
Tu Kuta Man Kuja Tu Kuja Man Kuja

Tu Kuja Man Kuja Tu Man Kuja

Mein Nazar Karoon Jaan o Jigar Kaisa Lagay Ga

Mein Nazar Karoon Jaan o Jigar Kaisa Lagay Ga
Rakhdoon Dar-e-Sarkar Pay Sar Kaysa Lagay Ga
Aa Jaye Muqaddar Se Mere Ghar Jo Shah-e-Dee(n)
Mein Kaysa Lagoon Ga Mera Ghar Kaysa Lagay Ga

Jab Door Say Hain Itna Haseen Gumbad-e-Khizra
Iss Paar Say Aisa hai Udher Kaysa Lagay Ga

Sarkaar Ne Darr Pe Tujhe Bulwaya Hain Mangte

Jab Koyi Mujhe Dega Khabar Kaisa Lagay Ga

Jis Haath Se Likhunga Muhammad Ka Qaseedah

Us Haath Me Jibreel Ka Par Kaisa Lagay GaGhous Ul Wara Say Pooch Lo Aik Roz Ye Chal Kar
Baghdad Say Taiba Ka Safar Kaysa Lagay Ga

Rakh Lunga Imame Pe Jo Nalain E Muqaddas

Shaho Ke Muqabil Mera Sar Kaisa Lagega

Rehmat ka dar khula hai Darbar e Mustafa me

💫🌹💫🌹💫🌹💫🌹💫🌹💫

Darbar e Mustafa Main
Rehmat ka dar khula hai Darbar e Mustafa me
Bakhshish ka silsila hai Darbar e Mustafa ï·º main

Khamoshiyo ko meri sunte hai Sarwar e Deen
Bin maange mil raha hai Darbar e Mustafa ï·º main

Ab dil ki dhadkane hai Sarkar ke hawaale
Aawaz kab rawa hai Darbar e Mustafa ï·º  main

Subh o sham farishte aate hai haazri ko
Noorani qafla hai Darbar e Mustafa ï·º main

Ek bheeni bheeni khushboo saanso main bas gayi hai
Dil bhi mehak raha hai Darbar e Mustafa ï·º main

Mai arz kar raha hu sarkar sunn rahe hai
Kaisa haseen samaa hai Darbar e Mustafa ï·º main

Salle Ala Nabiyyina Salle Ala Muhammadin
Sab ki yahi sadaa hai Darbar e Mustafa ï·º main

Kaisi azeem neh’mat paayi hai tune Rizwan
Tu naat padh raha hai Darbar e Mustafa ï·º main

Bayaan Ho Kis Zubaan Se Martaba Siddique-E-Akbar Ka

Bayaan Ho Kis Zubaan Se Martaba Siddique-E-Akbar Ka
He Yaare Ghaar Mehboobe Khuda Siddique-E-Akbar Ka

Ilaahi Rahem Farma Khaadim E Siddique-E-Akbar Hoon
Teri Rehmat Ke Sadqe Waasta Siddique-E-Akbar Ka

Rasul Aur Ambiya Ke Baad Jo Afzal Ho Aalam Se
Ye Aalam Mein Hai Kis Ka Martaba Siddique-E-Akbar Ka

Gadaa Siddique-E- Akbar Ka Khuda Se Fazl Paata Hai
Khuda Ke Fazl Se Mein Hoon Gadaa Siddique-E-Akbar Ka

Huwe Farooq O Usman O Ali, Jab Daakhile Bayt
Bana Fakhro Salaasil Silsila Siddique-E-Akbar Ka

Maqaame Khwaabe Raahat Chain Se Aaraam Kar Ne Ko
Bana Pehlu E Mehboob E Khuda Siddique-E-Akbar Ka

Ali haiin us ke dushman aur woh dushman Ali ka
Jo dushman aql ka dushman huwa Siddique-e- Akbar ka

Lutaaya raahe haq mein ghar kaee baar is muhabbat se
Ke lut, lut, kar HASAN ghar bhar gaya, Siddique-e- Akbar ka

Aagaye aagaye mustafa aagaye…

Thandi thandi hawa rehmatoon ki chali
Ban ke mouj e karam, Mustafa aa gaye

Hal meri ho gayein khud ba khud mushkalein
Saray aalam kay mushkil kusha aa gaye


Aagaye aagaye Mustafa aagaye…
Amina ka muqadar sanwara gaya
Goud main chand jiski utara gaya
Hoor o ghulman salami ko jhuknay lage
Partay rizwan salle ala aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…


Dono aalam ki kismat badalne lagi
Noor main sari konain dhalne lagi
Khush muqadar Halima mubarak tujhe
Goud mein teri Khirul Wara aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…


Ban gayi hai zameen rashk e bagh e jinnah
Sajh gaye asman khil utha gul sitan
Mang lo rehmatein khol lo jholiyan
Denay khairat hajat rawan aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…


Aaj koi bhi sa’im na khali rahe
Sab muradein milein har musibat talay
Madni aaqa ki aamad ka sadqa mile
Bheek leney ko hum Ya Khuda aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…

Meri ulfat Madine se youn hi nahi Mere aaqa ka rouza Madine mein hai

Meri ulfat Madine se youn hi nahi
Mere aaqa ka rouza Madine mein hai
Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu
mera deen aur dunya madine mein hai

arsh e azam se jis ki barri shaan hai
roza e mustafa jis ki pehchaan hai
jis ka humpalla koi muhalla nahi
eik aisa muhalla Madine mein hai

phir mujhe maut ka koi khatra na ho
maut kya zindagi ki bhi parwa na ho
kaash sarkar eik baar mujh se kahein
ab tera marna jeena Madine mein hai

Sarware do jahaa se dua hai meri
Han bado chashmey tar ilteja hai meri
Un ki feh-rist mein mera bhi naam ho
Jinn ka roz ana jaana Madine mein hai

jab nazar sue taiba rawana hui
saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai
main muneer ab rahoon ga yahan kis liye
mera saara asasa Madine mein hai



… “lam yaati nazeero kafi nazarin”

Mairaj Ka Dulha Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho
Mairaj Ka Dulha Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho

Kya Hai Tauqeer e Shah e Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam
Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam
Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho

Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa
Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara
Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho

Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin
Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi
Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho

Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue
Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke
Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho

Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi
Karne Ko Adaa Rab Ka Sajda Saf Basta Jamaat Khadi Hui
Hai Sharf e Imamat Kise Mila Jibril e Amin Se Poocho

Pohnche Aakhir Oos Manzil Per Jalte Hai Jahan Jibril Ke Par
Jibril Ruke Sarkaar Badhe Pohnche Hai Arsh e Azam Par
Mehman e Khuda Hai Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho

Qaiser Hai Wahi Mehboob e Khuda Taha Yasin Hai Laqab Mila
Quran e Muqaddas Ne Unko Wa-rafana-laka-zikrak Hai Kaha
Khalique Ne Jo Baksha Hai Rutba Jibril e Amin Se Poocho

Falak Pe Dhoome Machi Hui Hai Malaika Jhoome Ja Rahe Hai
Ke Mustafa Apne Rab Ki Dawat Pe Aaj Tashrif Laa Rahe Hai!

Namaz Ki Ginti Kam Karana Hi Unka Maqsad Nahi Hai Wallah
Ye Shouq e Didar e Rab Hai NAZMI Palat Palat Ke Woh Jaa Rahe Hai!

Shahan e Jahan kis liye sharmaye hua han

Shahan e Jahan kis liye sharmaye hua han Kya Bazam ma taiba ka Gada aye hua hain Is waqt na cher a kashish e lazzat e dunya Is waqt mera dil...