Monday, 4 March 2019

Nabi Ki Ma‘rifat Beshak Dare Haidar Se Milti Hai Lyrics | Roman, Hindi & Urdu | Lab Pe Naat Lyrics

Islamic naat lyrics Ishq-e-Rasool ﷺ, Ahle-Bait se nisbat aur roohani yaqeen ka khoobsurat izhaar hoti hain. Yahan hum “Nabi Ki Ma‘rifat Beshak Dare Haidar Se Milti Hai” naat ke Roman English, Hindi aur Urdu lyrics pesh kar rahe hain.

🔹 Roman English Lyrics

Nabi ki ma‘rifat beshak Dare-Haidar se milti hai
Ye daulat jiske ghar ki hai usi ke ghar se milti hai

Muhammad ki muhabbat aise-waise ghar se milti hai
Ye daulat bhi kahin kya be-talab be-dar se milti hai

Naseeb-e-ahl-e-nisbat se Nabi ke ishq ki manzil
Magar zaahir ko ye nisbat bade chakkar se milti hai

Farishton aao poocho mujh se main peshi mein rehta hoon
Hai malik ghar ka kaisa, ye khabar naukar se milti hai

Padhane aaye ho Jibreel Iqra ka sabaq kisko
Farishton ko bhi khud ta‘leem jiske ghar se milti hai

Likhi hai aaina “Fee Ahsani Taqweem” chehre par
Mere Aaqa ki soorat saaf soorat-gar se nikalti hai

Azal se aana-jaana hai mera Sarkar ke ghar mein
Mere dil ki gali Sarkar hi ke ghar se milti hai

“Bi-iznillah”, “Bi-izni” kehne waale bhi samajhte hain
Hayaat-e-jaavedani aapki thokar se milti hai

Ho Farzaq ya Qameeri, Hassan hon ya Aouj-e-Yaqoobi
Ijazat naat ki sab ko Nabi ke ghar se milti hai


🔹 Hindi Lyrics

नबी की मारिफ़त बेशक़ दर-ए-हैदर से मिलती है
ये दौलत जिसके घर की है उसी के घर से मिलती है

मुहम्मद की मुहब्बत ऐसे-वैसे घर से मिलती है
ये दौलत भी कहीं क्या बे-तलब बे-दर से मिलती है

नसीब-ए-अह्ल-ए-निस्बत से नबी के इश्क़ की मंज़िल
मगर ज़ाहिर को ये निस्बत बड़े चक्कर से मिलती है

फ़रिश्तों आओ पूछो मुझसे मैं पेशी में रहता हूँ
है मालिक घर का कैसा, ये ख़बर नौकर से मिलती है

पढ़ाने आए हो जिब्रील इक़रा का सबक़ किसको
फ़रिश्तों को भी ख़ुद तालीम जिसके घर से मिलती है

लिखी है आईना “फ़ी अहसनि तक़वीम” चेहरे पर
मेरे आक़ा की सूरत साफ़ सूरत-गर से निकलती है

अज़ल से आना-जाना है मेरा सरकार के घर में
मेरे दिल की गली सरकार ही के घर से मिलती है

“बि-इज़्निल्लाह”, “बि-इज़्नी” कहने वाले भी समझते हैं
हयात-ए-जावेदानी आपकी ठोकर से मिलती है

हो फ़रज़क़ या क़मीरी, हस्सान हों या औज-ए-याक़ूबी
इजाज़त नात की सब को नबी के घर से मिलती है


🔹 Urdu Lyrics (اردو)

نبی کی معرفت بے شک درِ حیدر سے ملتی ہے
یہ دولت جس کے گھر کی ہے اسی کے گھر سے ملتی ہے

محمد کی محبت ایسے ویسے گھر سے ملتی ہے
یہ دولت بھی کہیں کیا بے طلب بے در سے ملتی ہے

نصیبِ اہلِ نسبت سے نبی کے عشق کی منزل
مگر ظاہر کو یہ نسبت بڑے چکر سے ملتی ہے

فرشتو آؤ پوچھو مجھ سے میں پیشی میں رہتا ہوں
ہے مالک گھر کا کیسا یہ خبر نوکر سے ملتی ہے

پڑھانے آئے ہو جبریل اقرء کا سبق کس کو
فرشتوں کو بھی خود تعلیم جس کے گھر سے ملتی ہے

لکھی ہے آئینہ “فی احسنِ تقویم” چہرے پر
مرے آقا کی صورت صاف صورت گر سے نکلتی ہے

ازل سے آنا جانا ہے مرا سرکار کے گھر میں
مرے دل کی گلی سرکار ہی کے گھر سے ملتی ہے

“باذنِ اللہ”، “باذنِی” کہنے والے بھی سمجھتے ہیں
حیاتِ جاودانی آپ کی ٹھوکر سے ملتی ہے

ہو فرزدق یا قمیری، حسان ہوں یا عوجِ یعقوبی
اجازت نعت کی سب کو نبی کے گھر سے ملتی ہے



No comments:

Post a Comment

Pyaare Nabi ﷺ ParHar subah-o-shaam lakhon durood aur lakhon salaam | Salaam

Pyaare Nabi ﷺ Par Har subah-o-shaam lakhon durood aur lakhon salaam, Padte hain mil kar saare ghulaam, Lakhon durood aur lakhon salaam. Mere...