Ae Noor-e-Mujassam! Tere siwa Mehboob Khuda ka koi nahin
Ausaaf to sab ne paaye hain, par Husn-e-Sarapa koi nahin
Aadam se Janaab-e-Eesa tak Sarkar ke jaisa koi nahin
Yeh shaan tumhaari hai, Aaqa! Tum Arsh-e-Bareen par pahunche ho
Zeeshaan Nabi hain sab lekin Me'raaj ka Doolha koi nahin
Dil kis ko dikhaayein cheer ke hum, Isyan ka madaawa kaun kare
Ae Rahmat-e-Aalam! Tere siwa dukhiyon ka Maseeha koi nahin
Khairaat Muhammad se pa kar is naaz se kehte hain mangte
Dukhiyon pe karam karne wala Sarkaar se achha koi nahin
Maalik hain woh dono 'Aalam ke, har zarra munawwar hai un se
Tanweer-e-Mujassam, Sayyid-e-Kul, Aaqa ke ilaawa koi nahin
Ho jaaye agar ek Chashm-e-Karam, Mahshar mein Fana ki laaj rahe
Ae Shaafe'-e-Mahshar! Tere siwa Bakhshish ka waseela koi nahin
No comments:
Post a Comment