jis samt dekhta hu.n, nazaara ‘ali ka hai
duniya-e-aashti ki phaban, mujtaba hasan
laKHt-e-jigar nabi ka tu pyaara ‘ali ka hai
hasti ki aab-o-taab, husain aasmaa.n janaab
zahra ka laal, raaj dulaara ‘ali ka hai
marhab do-neem hai sar-e-maqtal pa.Da huaa
uThne ka ab nahi.n ki ye maara ‘ali ka hai
kul ka jamaal juzw ke chehre se hai ‘ayaa.n
gho.De pe hai.n husain, nazaara ‘ali ka hai
ai arz-e-paak ! tujh ko mubaarak ki tere paas
parcham nabi ka, chaand sitaara ‘ali ka hai
tum daKHl de rahe ho ‘aqeedat ke baab me.n
dekho ! mu’aamla ye hamaara ‘ali ka hai
ham faqr-e-mast, chaahne waale ‘ali ke hai.n
dil par hamaare sirf ijaara ‘ali ka hai
duniya me.n aur kaun hai apna ba-juz ‘ali
ham bekaso.n ko hai to sahaara ‘ali ka hai
tu kya hai aur kya hai tere ‘ilm ki bisaat
tujh par karam, Naseer ! ye saara ‘ali ka hai
No comments:
Post a Comment