Wednesday, 29 January 2025

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta
Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta

Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta
Aap ka naqsh-e-qadam, aap ka rasta milta

Aap ko dekhta Ta'if mein duayen dete
Yun mere sabr o tahammul ko saleeqa milta

Aap ke samne rakh deta main sab kuch la kar
Nusrat-e-deen ke liye jab bhi ishara milta

Apna ghar-baar luta deta to uske badle
Hubb-e-Sarkar-e-Madina ka khazana milta

Aap ke piche khade ho ke namaz-e-padh'ta
Aap ke qadmon ke piche mujhe sajda milta

Bhool jaata main kisi taaq mein rakh kar aankhein
Aap ko dekhte rehne ka bahaana milta

Aap ki tarah bithata main use shanon par
Raah mein aap ka jab koi nawasa milta

Hashr tak meri ghulami yunhi khayam rehti 
Meri har nasl ko faqri yehi wirsa milta

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...