Aa dil mein tujhe rakh loon aye jalwa-e-janana
Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi
Ab rukh ko chhupa baithay kar ke mujhe deewana
Itna to karam karna aye chashm-e-karimana
Jab jaan labon par ho tum saamne aa jana
Ab maut ki sakhti to bardasht nahin hoti
Tum saamne aa baitho, dam niklay ga aasaana
Duniya mein mujhe apna jo tum ne banaya hai
Mahshar mein bhi keh dena, yeh hai mera deewana
Janana tujhe milne ki tadbeer yeh sochi hai
Hum dil mein bana lenge chhota sa sanam khaana
Main hosh-o-hawas apne is baat pe kho baitha
Tum ne jo kaha hans ke, yeh hai mera deewana
Peene ko to pee loon ga par arz zara si hai
Ajmer ka saaqi ho, Baghdad ka maikhaana
Kya lutf ho mehshar mein shikwe mein kiye jaaun
Woh hans ke yeh farmaayen: deewana hai deewana
Dil Chahta hai tohfe mein bhe doon unhen aankhen
Darshan ka to darshan ho, nazraaye ka nazara
Maidan e mehshar me tum saath khadey rehna
Kya jaane Khuda poochhe, aur kya keh dain yeh deewana
Woh kehte na kehte kuch, woh sunte na sunte kuch
Ae kash woh sun lete mujhse mera afsana
Saaki teray aatay hee yeh josh hai masti ka
Sheshay pay gira sheesha pemanay pe paymana.
Jis ja nazar aatey ho sajde wahin karta hu
Sajdon se hume matlab kaba ho ya bhutkhana.
Zahid teri qismat mein sajde hain usi dar ke
Chhoota hai na chhootay ga sang-e-dar-e-janana
Maloom nahin Bedam hoon kaun aur kya hoon
Yun apnon mein apna hoon, begaanon mein begaana
No comments:
Post a Comment