Wednesday, 31 December 2025

Maahe Madina Wo Shahe Wala Naat Lyrics in Roman Urdu | Lab Pe Naat

Maahe Madina Wo Shahe Wala naat lyrics Roman Urdu me yahan pesh ki ja rahi hai.
Yeh khoobsurat naat Sarkar ﷺ ke husn, shaan aur rehmat ka bayaan hai.
Is naat ko mehfil-e-naat aur durood ki majalis me khas taur par padha jata hai.



Maahe madina wo shahe wala
Hai jiske dhum se jag me ujala

Sab ka mu’allim aisa ek ummi
Usdaat jiska khud haq ta’ala

Ummat me jiski tehra baraabar
Adna se adna aala se aala

Zarbad se thouheed ki jisne thoda
Shirk e jali ka mazboot taala

Rothe huon ko jisne hasayaa
Girthe huon ko jisne sambhaala

Jis ko Umar(r.z) ne bas de diya dil
Jaancha na parka dekha na bhaala

Har lamha jiska oolaa se aulaa
Har Aan me jo baala se baala

Dekha na ab tak chasme falak ne
Aisa anokha aisa niraala

Imaan o taqwa me Miyaare izzat
Waj-he fazeelat Gora na kaala

Us shah ka mai adna gadaa hoon
Aalam mein jiska hai bol baala

Kunje lahad ho pul ho ke meeza
Har Jaaan chalega tera hawaala

Jisko daboya mauj e alam ne
Tokhar se toone usko uchaala

Tera bulaaya maqbool e daawar
Mardood e yesdaaan tera nikaala

Paani ke hothe paani ko tarsa
Dil bande zahra naaz o ka paala

Darbaa’n jo uljah baab e Nabi par
Usne kaha Kum mai ne kaha laa

Tujko Naseer ab kya khauf e dozakh
Pul par khada hai khud kamli waala

No comments:

Post a Comment

Pyaare Nabi ﷺ ParHar subah-o-shaam lakhon durood aur lakhon salaam | Salaam

Pyaare Nabi ﷺ Par Har subah-o-shaam lakhon durood aur lakhon salaam, Padte hain mil kar saare ghulaam, Lakhon durood aur lakhon salaam. Mere...