Jiske Haaton Me Hai Zulfikar e Nabi
Jiske Pehlu Me Hai Shahwar e Nabi
Dukhtar e Mustafa Jiski Dulhan Bani
Jiske Beton Se Nasl e Nabi hai Chali
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali
Jiske Baare Me Farmaye Pyaare Nabi
Jiska Mawla hoon Main Uska Mawla Ali
Jiski Talwaar Ki Jag Me Shohrat Huii
Jiske Kunbe Se Rasm e Shujaat chalii
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali
Jo Nabi ka Hua Woh Ali Ka Hua
Jo Ali Ka Hua Woh Nabi ka Hua
Ya Ali Kehdiya Saara Gham Tall Gaya
Woh Hai Khaybar Shikan Aur Sher e Khuda
Naam se Jinke Har Ranj o Khulfat tali
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali
Jisko Shah e Wilayat ka Rutbah mila
Jiteji Jisko Jannat Ka Muzda Mila
Sayyed e Do Jahan Jisko Rutbah mila
Silsile Saare Jisper Huye Muntahi
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali
Sayyedon Ke Wahi Jadde Aala bhi Hain
Mere Nana Bhi hain Mere Dada Bhi Hain
Mere Aaqa Bhi hain Mere Mawla bhi Hain
Nazmi Wohi Safi o Naji o Razi
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali
No comments:
Post a Comment