Hua Saare Jahaan Mein Bol-Baala Ghaus-e-Azam Ka
Hua saare jahaan mein bol-baala Ghaus-e-Azam ka
Haqeeqat to ye hai rutba hai a’ala Ghaus-e-Azam ka
Shari’at ke gulistaan mein, tariqat ke dabistaan mein
Jidhar dekho ujaala hi ujaala Ghaus-e-Azam ka
Rumuuz-e-ma’rifat sab munkashif ho jaayenge us par
Padhega jo tasavvuf par maqaala Ghaus-e-Azam ka
Sadaaqat mein, sakhawat mein, riyaazat mein, ibaadat mein
Qiyaamat tak rahega bol-baala Ghaus-e-Azam ka
Nabi ka noor, faiz-e-Faatima ka kyun na ho waaris
Ali-e-Murtaza hai jadd-e-a’ala Ghaus-e-Azam ka
‘Naseer’ imaan hai apna ke mahshar mein dam-e-pursish
Hamaare kaam aayega hawaala Ghaus-e-Azam ka
No comments:
Post a Comment