Monday, 13 January 2025

Ahl e Nazar Ki Ankh Ka Tara Ali Ali

Ahl e Nazar Ki Ankh Ka Tara Ali Ali
Ahl e Wafa Ke Dil Ka Sahara Ali Ali

Ek Kaif Ek Suroor Sa Rehta Hai Raat Din
Jabse Hua Hai Wird Hamara Ali Ali

Duniya Me Sabse Aala Gharane Ke Noor Ho
Is Waaste Hai Naam Tumhara Ali Ali

Kaabe Ke Bu’t Giraye Nahi Apne Haat Se
Sarkar ï·º Ne Muskura Ke Pukara Ali Ali

Jungle Pahaad Kehte Hain Naad e Ali Ali
Mushkil Ko Meri Hal Karo Mushkil Kusha Ali

Tan Par Ali Ali Ho Zubaan Par Ali Ali
Marjaon Mein To Likhna Kafan Par Ali Ali

Aazam Yeh Maghfirat Ki Sanad Hai Hamare Paas
Hum Hain Ali Ke Aur Hamara Ali Ali

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...