Nabi ka naam jab mere labon par raqs karta hai
Lahu bhi meri shiryano ke andar raqs karta hai
Meri bechain aankhon mein wo jab tashreef laate hain
Tasawwur unke daaman se lipat kar raqs karta hai
Wo sahraaon mein bhi paani pila dete hain pyaason ko
Ki unki ungliyon mein bhi samandar raqs karta hai
Padey hain naqsh-e-paa-e-Mustafa ke haar gardan mein
Jabhi toh rooh lahraati hai paikar raqs karta hai
Khayal aata hai jab bhi garmi-e-roz-e-qayamat ka
Gham-e-isyan sar-e-dariya-e-kausar raqs karta hai
Zameen-o-aasman bhi apne qaabu mein nahin rahte
Tadap kar jab Muhammad ka qalandar raqs karta hai
Lagi hai bheed uske gird ye kaisi farishton ki
Ye kiska naam le le kar 'Muzaffar' raqs karta hai.
written by Janab Muzaffar Warsi sahab
https://soundcloud.app.goo.gl/93MZw
Mashallah
ReplyDelete