Sunday, 14 March 2021

Nabi ka naam jab mere labon par raqs karta hai Lyrics


Nabi ka naam jab mere labon par raqs karta hai
Lahu bhi meri shiryano ke andar raqs karta hai

Meri bechain aankhon mein wo jab tashreef laate hain
Tasawwur unke daaman se lipat kar raqs karta hai

Wo sahraaon mein bhi paani pila dete hain pyaason ko
Ki unki ungliyon mein bhi samandar raqs karta hai

Padey hain naqsh-e-paa-e-Mustafa ke haar gardan mein
Jabhi toh rooh lahraati hai paikar raqs karta hai

Khayal aata hai jab bhi garmi-e-roz-e-qayamat ka
Gham-e-isyan sar-e-dariya-e-kausar raqs karta hai

Zameen-o-aasman bhi apne qaabu mein nahin rahte
Tadap kar jab Muhammad ka qalandar raqs karta hai

Lagi hai bheed uske gird ye kaisi farishton ki
Ye kiska naam le le kar 'Muzaffar' raqs karta hai.

written by Janab Muzaffar Warsi sahab


Listen to Nabi ka naam jab mere labon par raqs karta hai by naatepak on #SoundCloud
https://soundcloud.app.goo.gl/93MZw

1 comment:

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...