Sunday, 3 March 2019

Hota agar zameen par saya Rasool ka,

Hota agar zameen par saya Rasool ka,
Fir paao ummati kaha rakhta Rasool ka...

Padte hai yu to gair bhi kalma Rasool ka,
Jannat use milegi jo hoga Rasool ka...

Hota agar zameen par........

Karte hai aheteram janaza ka is liye,
Vo ja raha hai dekhle chehra Rasool ka...

Hota agar zameen par........

Duniya ko dekhna bhi gavara nahi kiya,
Jab tak ali ne dekha na chehra Rasool ka...

Hota agar zameen par........

Shere khuda na banta to banta bhi aur kya,
Bachpan hi se jo paala hua tha Rasool ka...

Hota agar zameen par........

Naara raza ka lagta hai duniya me is liye,
_*Ahmad raza*_ ke lab pe tha naara Rasool ka.

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...