Sunday, 3 March 2019

Aagaye aagaye mustafa aagaye…

Thandi thandi hawa rehmatoon ki chali
Ban ke mouj e karam, Mustafa aa gaye

Hal meri ho gayein khud ba khud mushkalein
Saray aalam kay mushkil kusha aa gaye


Aagaye aagaye Mustafa aagaye…
Amina ka muqadar sanwara gaya
Goud main chand jiski utara gaya
Hoor o ghulman salami ko jhuknay lage
Partay rizwan salle ala aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…


Dono aalam ki kismat badalne lagi
Noor main sari konain dhalne lagi
Khush muqadar Halima mubarak tujhe
Goud mein teri Khirul Wara aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…


Ban gayi hai zameen rashk e bagh e jinnah
Sajh gaye asman khil utha gul sitan
Mang lo rehmatein khol lo jholiyan
Denay khairat hajat rawan aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…


Aaj koi bhi sa’im na khali rahe
Sab muradein milein har musibat talay
Madni aaqa ki aamad ka sadqa mile
Bheek leney ko hum Ya Khuda aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...