Tuesday, 27 December 2016

kaabe ke badrudduja

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron durood
 Taiba ke shamsud duha tumpe karoron durood

Shaafa’e roze jazaa tumpe karoron durood
Daafa’e jumla balaa tumpe karoron durood

Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa.
Seene pe rakhdo zaraa tumpe karoron Durood

Aur koyi ghayb kya tum se niha ho bhala
Jab na Khudaa hi chupa tumpe karoron durood

Wo Shab e Mehraj raaj woh Shaf e Mehshar ka taaj
Koyi bhi aisa huwa tumpe karoron durood

Kar ke tumhare gunaah mange tumhari panaah
Tum kaho daaman me aa tumpe karoron durood

Tum ho Haafiz o Mughees kya ha woh dushman khabees
Tum ho to phir khauf kya tumpe karoron durood

Ek taraf Aadaa e Deen ek taraf Haasideen
Banda hai tanha Shaha tumpe karoron durood

Hum ne khata me na ki tum ne ata me ki
Koi kami sarwara tumpe karoron durood

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...