Saturday, 31 December 2016

Sarkaare Ghaus E A’zam, Nazre Karam Khudaara Mera Khaali

Sarkaare Ghaus E A’zam, Nazre Karam Khudaara
Mera Khaali Kaasa Bhar Do, May Faqir Hu Tumhara.

 Maula Ali Ka Sadqa,
Gange Shakar Ka Sadqa
Meri Laaj Rakhna Mira, May Faqir Hu Tumhara

Mira Bane Hai Dulha,
Shaadi Rachi Hui Hai
Sab Auliya Baraati,
 Kya Khoob Hai Nazara

Jholi Ko Meri Bhardo,
Warna Kahegi Duniya
Aise Sakhee Ka Mangta, Phirta Hai Maara, Maara

Duniya Mei Sab Ka Koi,
Koi To Aasra Hai
Mera Bajuz Tumhaare,
Koi Nahi Sahaara

Yeh Adaa E Dastgiri,
Koi Mere Dil Se Puche
Wahi Aa Gaye Madad Ko, Maine Jab Jahaa Pukaara

Yeh Tera Karam Hai Ya Ghous,
Jo Bana Liya Hai Apna
Kahaa Mujhsa Ye Kameena,
Kaha Silsila Tumhara

No comments:

Post a Comment

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta

Sari sadiyon pe jo bhari hai woh lamha milta Kash Sarkar-e-Dua Alam ka zamana milta Aapko dekhta Makkah se main hijrat karta Aap ka naqsh-e-...