nimatein baanta jis samt voh zishan gya Tazmeen lyrics
Yeh voh sach hai ke jisse aik jahan maan gya
dar pe aaya jo gadaa ban ke voh sultaan gya
uske andaz e nawazish pe mein qurban gya
nimatein baanta jis samt voh zishan gya
saath hi munshi e rahmat ka kalamdaan gya
tujh se jo phair ke munh jaanib e quran gya
surkh roo ho ke na duniya se voh insaan gya
kitne gustaakh bane, kitno ka imaan gya
le khabar jald ke auron ki taraf dhiyaan gya
mere mawla, mere aaqa tere qurbaan gya
mahv e nazzaara, sar e gumbad e hazra hi rahi
door se sajdahguzaar e sar e waala hi rahi
ru ba ru paake bhi mahroom e tamasha hi rahi
aah voh aankh ke naakaam e tammana hi rahi
Haaye voh dil jo tere dar se pur armaan gya
teri chaahat ka amal zeest ka manshur raha
teri dehleez ka phaira mera dastoor raha
yeh alag baat ke toor aankh se mastoor raha
dil hai who dil jo teri yaad se m`amoor raha
sar hai woh jo tere qadmon pe qurbaan gya
dosti se mujhe matlab na mujhe baiR se kaam
unke sadqday mein kissi se na para khair se kaam
unka shayda hoon mujhe kya haram o dair se kaam
unhein maana, unhein jaana na rakha ghair se kaam
lillahil hamd ke duniya se musulmaan gya
ihtiraam e nabvi daakhil e aadat na sahi
shir e maadar mein aseelon ka najabat na sahih
ghar mein aadab e risaalat ki riwaayat na sahih
aur tum par mere mawlaa ki inaayat na sahih
najdiyon kalima parhane ka bhi ihsaan gya?
baam e maqsad pe tamanaon kay zeenay paunchay
lab e saahil pe Naseer unkay safinay paunchay
jinko khidmat mein bulaaya tha nabi ne paunchay
jan o dil hosh o khirad sab tau madinay paunchay
tum nahin chalte Raza saara to saamaan gya