Saturday, 19 November 2022

Shahan e Jahan kis liye sharmaye hua han Naat lyrics

Islamic naat lyrics Ishq-e-Rasool ﷺ, Madinah ki muhabbat aur shafa‘at ki umeed ka roohani izhaar hoti hain. “Shahan-e-Jahan Kis Liye Sharmaye Hue Hain” ek dil-nawaz naat hai jo bazm-e-Taiba aur shafa‘at-e-Mustafa ﷺ ka husn bayan karti hai.


🔹 Roman English Lyrics

Shahan-e-jahan kis liye sharmaye hue hain
Kya bazm-e-Taiba ka gada aaye hue hain

Is waqt na chhed aey kashish-e-lazzat-e-duniya
Is waqt mere dil ko woh yaad aaye hue hain

Jannat ki fazaayein unhein behla na sakeingi
Jo aap ki galiyon ki hawa khaaye hue hain

Sultan-e-do-aalam ki ata aur yeh aasi
Kuch log to is baat pe chakraaye hue hain

Hangama-e-Mahshar mein kahan habas ka khadsha
Gesoo-e-Shah-e-Kounain jo lehraaye hue hain

Ban jaayegi Mahshar mein Naseer ab teri bigdi
Kyun ke Sarkar shafa‘at ke liye aaye hue hain


🔹 Hindi Lyrics

शाहान-ए-जहाँ किस लिए शर्माए हुए हैं
क्या बज़्म-ए-तैबा का गदा आए हुए हैं

इस वक़्त न छेड़ ऐ कशिश-ए-लज़्ज़त-ए-दुनिया
इस वक़्त मेरे दिल को वो याद आए हुए हैं

जन्नत की फ़ज़ाएँ उन्हें बहला न सकेंगी
जो आप की गलियों की हवा खाए हुए हैं

सुल्तान-ए-दो-आलम की अता और ये आसी
कुछ लोग तो इस बात पे चकराए हुए हैं

हंगामा-ए-महशर में कहाँ हबस का ख़दशा
गेसू-ए-शाह-ए-कौनैन जो लहराए हुए हैं

बन जाएगी महशर में नसीर अब तेरी बिगड़ी
क्यूँकि सरकार शफ़ाअत के लिए आए हुए हैं


🔹 Urdu Lyrics (اردو)

شاہانِ جہاں کس لیے شرمائے ہوئے ہیں
کیا بزمِ طیبہ کا گدا آئے ہوئے ہیں

اس وقت نہ چھیڑ اے کششِ لذتِ دنیا
اس وقت مرے دل کو وہ یاد آئے ہوئے ہیں

جنت کی فضائیں انہیں بہلا نہ سکیں گی
جو آپ کی گلیوں کی ہوا کھائے ہوئے ہیں

سلطانِ دو عالم کی عطا اور یہ عاصی
کچھ لوگ تو اس بات پہ چکرائے ہوئے ہیں

ہنگامۂ محشر میں کہاں حبس کا خدشہ
گیسوئے شاہِ کونین جو لہرائے ہوئے ہیں

بن جائے گی محشر میں نصیر اب تری بگڑی
کیوں کہ سرکار شفاعت کے لیے آئے ہوئے ہیں


No comments:

Post a Comment

Pyaare Nabi ﷺ ParHar subah-o-shaam lakhon durood aur lakhon salaam | Salaam

Pyaare Nabi ﷺ Par Har subah-o-shaam lakhon durood aur lakhon salaam, Padte hain mil kar saare ghulaam, Lakhon durood aur lakhon salaam. Mere...