Allah Allah Nabi ka gharana
Yeh gharana wara-ul-wara hai
Is mein Hasnain hain Fatima hein
Is gharany mein Mushkil Kusha hai.
Lab pe hein tazkiray Panjtaan ke
Phool mehkey hein mery chaman ke
Aisa Unke karam ne nawazah
Apni kismat pe dil jhoomta hai.
Ummati hun mein Shah-e-Zaman ka
Hoon bheekhari mein Mola Aaqa Hassan ka
Sadqay jaun mein Unke atta par
Deney wale ne sab kuch diya hai.
Naam per Tere sab kuch mila hai
Naam per Tere sab kuch fida hai
Naam per Tere qurbaan jaoun
Hum ghreebon ka Tu asraa hai.
Khair se Tum he Khair-ul-Wara ho
Aur Tumhin Sayed-ul-Ambiyaa ho
Koi Tujh sa huwa hai na hoga
Tere Raab ka yahi fayeselaa hai.
Mera bhi hai koi dunya waalo
Bey-sahara mujhay tum na samjho
Saath mery mera Peshwaa hai
Mera Raab hai mera Mustafaa hai.
Laaj rakh lo gad'dae karam ke
Bhardo bhardo hamari bhi jholi
Koi yeh na kahe Kamli Wale
Tere mehfil se khali gaya hai.
Kab'ba-e-Ishq ka hoon namazi
Mein hoon Unke inayaat pe raazi
Mere turbaat pe likhna Niazi
Panjtaan ka yeh adna gad'daa hai.
Allah Allah Nabi ka gharana...
Yeh gharana wara-ul-wara hai
Is mein Hasnain hain Fatima hein
Is gharany mein Mushkil Kusha hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Bekhud kiye dete hain lyrics
Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijabaata Aa dil mein tujhe rakh loon aye jalwa-e-janana Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi Ab rukh ko...
-
Ya Jeelani shainillah Ya Jeelani shainillah Ya Jeelani Shainillah, Al madad ba iznillah Aap ka hokar haal tabah, Aao Madad ko Shahenshah, Ch...
-
Na Karo Juda Khudara Mujhe Apne Aastan Se Na Milega Phir Sahara Jo Utha Diya Yahan Se. Yehi Meri Bandagi Hai Yehi Meri Sajda Rezi Ke Za...
-
tu nishan e benishan hai tu bahar e sarmadi hai tera dekhna ibaadat teri yaad bandagi hai ankhon ko noor dil ko mukammal khushi mili tum mil...
No comments:
Post a Comment