Tumhari deed me hai wo asar ya ghous e samdani
Nazar par naaz karti hai nazar ya ghous e samdani
Phirey hai phirne waley dar ba dar Ya Ghouse e samdani (ra)...
Tumhare dar pe hai meri nazar Ya Ghouse e samdani (ra)..
Kamaal e husn ka sadqa hamari laaj rakhlena..
Idhar bhi ek inayat ki nazar Ya Ghouse e samdani (ra)...
Tumhare dar ka banda hu tumhi se mujhko Lena hai
Tumhara ho ke mai jao kidar ya ghous e samdani (ra)...
Musibat ho ke rahat ho maze nisbat ke leta hun
Tumhare dar pe rahta hai ye sar ya ghous e samdani (ra)...
Tumhare daman e aqdas se daman band bhaita hun
Do alam me mujhe ab kis ka dar ya ghous e samdani (ra)...
Mureedi la takhaf keh kar hume befikr kar dala.
Humari jaan qurban aap par ya ghous e samdani (ra)...
Tumhara naam lekar Zindagi humne guzari hai
Marenge bhi tumhare naam par ya ghous e samdani (ra)...
Na bhulo apne kamil ko ye tum par jaan deta hai
Ye dewana raha hai umr bhar ya ghous e samdani (ra)...